Hello friends aaj ki post me main aapko Business and Job yani Naukri or khud ke business ke bare me kuch tips btaunga. I hope ki is post ko padhne ke baad aap ye decision le sakenge ki aapko Job karni chahiye ya fir business. Ummid hai ki aapko meri bate pasand aayegi.
job and business |
Whatsapp Se Paise Kaise Kamaye Uski Jankari in Hindi
Jio 4G Sim Se Computer Laptop Me Free Internet Chalane Ki kuch Tips
Job ki sabse best category hai Govt. Jobs. agar aap government job karte hain to ye aapke liye or aapke future ke liye best hai. Jab tak aap job karenge aapko government salary degi or jab aap retired ho jayenge tab bhi Govt. aapko pension degi. Yani jab tak aap jinda rahenge aapko or aapki family ko Govt. rupees deti rahegi. Isiliye sabhi student isi ke piche bhagte hai.
Second number aata hai private jobs ka, private job kai tarah ki hoti hai. Jaise kai log kisi shop me job karte hain or kuch log kisi school me private teachers hain to koi kisi company me job karta hain. Yani har koi job karta hai bas koi kahin to koi kahin, Job ka ek hi maksad hota hai ki aapko per month salary mil jayegi.
????
In dono se best hota business, I mean khud ka work karna or khud apne dam par business start kar ke paise kamana. Iske liye aapka bahut mehanat karni hogi. Kyuki job to aap day me 8-10 hours kar sakte ho but apne business ko success banane ke liye aapko 24 hours bhi active rahna pad sakta hai.
Now, hum bat karenge “Which is better a job and business” ke bare me yani hume konsa rasta apnana chahiye.
New website kaise banaye
Nakli note ki pahchan hindi me.
Jaisa ki mene btaya ki sabhi jobs ka ek hi maksad hota hai ki har mahine salary time par mil jati hai or kahin kahin par promotion bhi milte rahte hain. Private job me sabse best Job Limited companies ki hoti hain. Iske alawa agar aap kisi work ko seekhne ke liye job karte hain to ye bhi best hai. Isme bhi aapka future hai. Kyuki ek din aap khud wo kaam shuru kar sakte ho.
Limited company me aapko good salary ke sath sath promotions bhi milte hain or har saal aapki salary bhi increase hoti rahti hai. Inme aapko humesha aage badhne ka mauka milta rahta hai. Limited companies ke alawa jitni bhi chhoti jobs hain unka koi future nahi hota.
Unme aap chahe jitney saal work kar le lekin aap kuch bhi nahi kar sakte na hi inme koi promotion milta hai or na hi salary badhti hai. Inme insan ki jindgi or unka future dono hi kharab hote hain. Aap jab tak jawan hain tab tak aap kama sakte hain jab aap Old ho
Heart touching love lines in hindi
jayenge to ye log aapko nikaal kar dusreyoung man ko job rakh lenge. Yahi haal videsh (other country) me jobs karne walo ka hota hai.
1. Kya Videsh Me Job Karna Behtar Hai?
Videsh me aap chehe jitne years job kar len lekin jis din aap apne watan wapas aayenge aapki jindgi wahi se start ho jayegi jaha se aap chale the. Bahut hi kam log hote hain jo videsh me job karke paise jama kar lete hain or watan aakar apna business start karte hain. Jyadatar log to videsh me kama kama kar ghar bhejte rahte hain or ghar wale use kharch karte rahte hain or natiza ye nikalta hai ki kuch bhi balance save nahi ho pata. Ab jab banda wapas apne watan aata hai to fir se berojgar ho jata hai.
Mene jyadatar un logon ko jo videsh me jobs karte the watan aakar fail hote dekha hai. Isme unki apni galti jyada hoti hai ki unhone jo kuch bhi kamaya use kharch kar diya or kuch bhi save nahi kar sake.
Ab ya to videsh ki company fail ho gayi ya unka VISA finish kar diya gaya ya wo khud sabkuch chord kar watan aa gaye. Sabhi surat me wapas ghar aakar ye log kuch bhi nahi kar pate or sochte sochte kafi time waste kar dete hain.
Jo log videsh me money save karte hai wo apne ghar wapis aa kar khud ka business shuru kar lete hain. Lekin jyadatar aisa nahi kar pate or watan aakar unhe fir se koi or job karni pardati hai ya fir vo fail ho kar baith jate hain. Mera yaha ye matlab nahi hai ki other country me job karna bekar hai, nahi bahut se log hai jo dusre desho se lakho rupees kama rahe hai or kama kar laye hai.
????
2. Private Naukri Ka Future Kya Hota Hai?
Private job ka koi bhi future nahi hota aap in jobs se sirf or sirf apna ghar ka kharch nikaal sakte hain. Inme aap kuch bhi bachat nahi kar sakte. Haan agar aapki salary kafi jyada hai to save ho sakta hai. Lekin private sectors me salary itni jyada bhi nahi hoti ki aapka kahrcha hata kar aap kuch paise jama kar sako.
Private job me aapka sirf aaj hai kal nahi hai. Agar aap apne bachho ko study nahi kara sake or achhi job na dila sake to kal aapke bachhe bhi kisi ke yaha job hi karenge. Aap aaj ke liye aane wale kal ko waste kar rahe hain. Isliye aapko job karte huye apne future ke bare me planning karni chahiye or apne bachho ke future ko roshan karne ke liye aapko aaj se hi koshish karni sharu kar deni chahiye.
Private naukri karne wale kabhi ye nahi chahenge ki unke bachhe bhi isi tarah dusron ki gulami kare. Naukri ko naukri isi liye kahte hain ki isme work karne wale sabhi naukar hi hote hain. Malik sirf vo hota hai jo business kar raha hai. Manager se lekar officer boy tak sabhi naukar hi hote hain. Isliye naukri nahi business karna behtar hai.
3. Business or Job Me Fark Kya Hota Hai ?
1. Jab aap kahi par job karte hain to aapko malik ki marzi se hi aana jana padta hai or uske kahe anusar work karna hai. Yaha tak ki chhutti bhi usi se ijazat lekar rakhni hoti hai. Jabki business me aap khud malik hote hain. Aap ko kisi cheez ke liye kisi se puchhne ki jarurat nahi padti.
2. Job me aapki salary fix hoti hai ki yahi milni hai. Jabki business me kabhi kam kabhi jyada kamayi kar sakte hain. Jobs me aapke bachho ka koi future nahi hota lekin aapka business aapke bachhe bhi sambhal lenge. Unhe kisi ki naukri nahi karni padegi.
3. Job se aapko kabhi bhi nikala ja sakta hai lekin aapke apne business se aapko koi nahi nikal sakta.
4. Job me promotion nahi milta ya kam milta hai lekin business dhire dhire badhta hi jata hai or aapki earning bhi jyada hoti jati hai.
5. Job me aap jab old ho jayenge tab aapko kuch nahi milega lekin aapka jawani me start kiya hua business jab aap old ho jayenge aapko ghar baithe khila sakta hai. Aapke bachhe aapke business ko nayi bulandi denge or aapka budhapa bhi easy ho jayega.
6. Job aap sirf jawani me hi kar sakte hain kyuki budhe workers ko koi job dena pasand nahi karta. Lekin aapka apna business hoga to aap budhape me bhi apne business ko sambhal sakte hain vahan se aapko koi bhi nahi hata sakta.
7. Business me future hai lekin Job me koi future nahi hai. Padh likh kar aapke bachho ko agar Govt. job nahi mili to unhe bhi private sector me nokri karni padegi or unki jindgi bhi aapki tarah hi dukh bhari hogi. Lekin agar aapka apna business hai to aapke bachho ko fikr nahi hogi, Agar government job mil jaye to best or na mile to father ka business to hai hi.
8. Job se milne wali salary me se aap save nahi kar sakte jabki apne business se munafa milne par aap use save kar sakte hain. Job me milne wali salary se sirf ghar kharch chalaya ja sakta hai jabki business me milne wale munafe se ghar kharch ke sath sath sabhi kaam nikaale ja sakte hain or dusro ko bhi kaam diya ja sakta hai.
9. Job karne wala sirf ek jagah par hi job kar sakta hai jabki business ko aap chahe jitna increase kar sakte ho or kitne bhi new business start kar sakte ho. Job karne wala na to rupay save kar sakta hai or na hi kahin investment kar sakta hai jabki business me dono kaam kar sakta hai.
10. Job karne wale apne bachho ke future ke liye kuch bhi rupay jama nahi kar pate natiza ye ki unhe ghar me apne ladke ya ladki ki shadi tak karne ke liye dusro se karz lena padta hai jabki business me apne bachho ke bachpan se hi rupay jama karwana shuru kar dete hain or jawan hone tak unhe achha khasa incentive mil jata hai jisse vo dhoom dhaam se apne bachho ki shadi kar sakte hain.
11.Job karne wale apne bachhon ko achhi taleem nahi dila pate ya unhe jyada padha likha nhi pate kyuki unhe dusaro ke yaha har roj naukri karni hoti hai. Jabki business man apne bachhon ko acchi se acchi taleem dilate hain, badiya school, colagges me admission dilate hai or jyada se jyada padhate likhate hain. Unhe education ke liye videsh tak bhejte hain.
12. Job karne walo ko har kaam Karz lekar karna padta hai jabki business man har kaam ko apne rupay se karte hain or ulta job karne walon ko karz bhi dete hain.
13. Naukri me bahut sari risk hoti hai but khud ke business me aesa kuch bhi nahi hota. Aap jab chahe jaise use handle kar sakte hai.
14. Sabse badi bat agar aapke pas khud ka business hai to aap e kachhe or successful business man ban kar duniya me apna name kaama sakte hai. Jabki job me aap aesa anhi kar sakte. Usme kaam aapka or name aapke malik ka hoga.
15. Job karne walon ki earning fix hoti hai jabki business karne walo ki earning unlimited hoti hai. Kabhi kam kabhi jyada to chalta hi rahta hai. Lekin self business to business hi hota hai, Job se kabhi bhi business ka mukabla nahi kar sakte.
Aapko mene job or business me fark ke itne sare examples bta diye hai inme sabse badi baat yahi hai ki Khud ka business karna sabse achha hai kyuki isme aap jinta chahe tarakki kar sakte hai.
4. Job aur Business In Dono Me Se Badiya Kya Hai?
Agar aapa sochte hai ki aap educated nahi hai or aapko sabkuch nahi aata to aa pbilkul galat hai. Bahut se anpadh or low educated log achha business kar rahehain or bahut se qualified or educated log kisi or ki naukri kar rahe hain. Ye baat bilkul sahi hai aap example ke liye aap kuch bade business or companies ke malik ki education check kar lo, bahut se logo ke pas collage tak ki degree nahi hai.
But aesa kaise ho sakta hai. Actualy. insaan apni soch se mahan banta hai or sochne ki power har kisi ke pas hai bas koi chhota sochta hai or koi bahut bada. Dono ki soch me fark ye hai ki jo educated hain unhe lagta hai ki unhe to kahin par bhi badiya job mil jayegi isiliye wo khud ka kaam shuru nahi kar pate. Lekin jo low educated, qualified hain unhe ye lagta hai ki unhe kaun job dega isliye vo sochte hain ki chalo apna hi kuch business kar lete hain.
????
Kuch logo me business karne ka jazba kam hota jabki kuch logo ki bahut kuch karne ki soch hoti hai. Isilite success wohi hota hai jo time par apna kaam start kar deta hai. Kyuki aalsi logo ko sirf utna hi milta hai jitna mehanat karne wale choed dete hai.
Tea seller ka kaa kam padhe likhe or anpadh log hi kar sakte hai. E ktarah se ye bhi unka chhota sa business hota hai kyuki wo apni marzi ke malik hote hai or jab chahe kaam kar sakte hai. Is tarah jitney bhi chote mote small business hote hain unko low educated ya anpadh log hi karte hain. Qualified bande in works ko karna apni shan ke khilaf samajhte hain unhe aesa karne me sharam mahsoos hoti hai or wo chhota kaam karne se achha khaili baithna behtar smaajhte hai.
So aapko aaj abhi se apna khud ka kaam yani self business shuru kar dena chahiye ya uske liye taiyari karni start kar deni chahiye. Agar aapko uski information nahi hai to aap uske bare me abhi se information jutana shuru kar de.
I hope ki aapko is post ko padhkar Business ya Jobs ke bare me discuses karne me help milegi.ek baat or btata chalun ki mene qualified ko galat kbhi bhi nhi kaha balki mene aapko unki soch btayi hai.kyu ki mere all friends qualified hain.mene dekha hai ki qualified log business se jyada Jobs ko focus karte hain.
Aap Politics, Bollywood, Sports, Business jahan chahe dekh len vahan aapko low educated log hi jyada milenge or ye apne aapko motivate karne ka sabse bada example hai.
Isliye Job naukri tab tak Karen jab tak aap business karne ki condition me na aa jayen. Jab aap business mind ban jao to fir aap sirfbusiness karna start kar den .Agar aapke pas investment hai to best hai varna aapko bahut sari banks se loan bhi mil jayenga. Aap apne home ya kisi bhi property par loan le sakte hai.
Jab aap shadi birthday vgaira ke liye karz le lete hain to business ke liye aapko karz mil hi jayega. Jise aap dhire dhire chukka sakte hain. Ek raay or dena chahunga ki aap jo bhi business start kare use shuru karne se pahle apne good friends and family walon se raay mashwara zarur kar le or aap chahe to kisi Business specialist (Jis par apako bharosha ho) se bhi advice le sakte hain.
Agar koi qualified banda business mind rakhta hai to mai usko Mubarak baad deta hun or uske liye dua karta hun ki use kabhi ksi ki job na karni pade or wo ek din bahut bada business man bane.
Job nahi balki business kare but bina soche samjhe kabhi bhi koi work na kare. kisi work ko karne se pahle uske bare me research kare or dusro acche logo se salah le. Isse aapko sahi raasta pata karne me aasani hogi. Kabhi bhi aesa kaam na kare jisme aapka fayda or dusro ka nuksaan ho.
Heart Touching Hindi Status, Short Hindi Quotes
Google Adsense High Paying Keywords 2017 for Highest Click Rates
I Hope ki aapko aaj ki ye post pasand aayegi to please ise apne friends ke sath share karna na bhulen.
Chipu nagar
0 comments:
Post a Comment